Dhundla dikh raha hai, roshni hui khatam
Manziley dikhaayi deti saaf, ho bharam
Mar mitunga yaari pe, jo yaar mere sang
Qalma e shahadat ho naseeb, mera nikle dum
Log ese piche, lena ho muaabzaa
Dekha mujhko ese dekha koi moujzaa
Aarzoo shikaayetein riwayatein dafan
Khuda kasam, khuda gawah, khuda hi mera badshah
Khud mein jigra hai to to dar hi nahi kisi se
Aashiq hun main tera, tu na dekh berukhi se
Kr k main Ada namazey, karta hun wazeefey
Aaj bhi hun zero, fir bhi chori na khudse ummeidein
Kadmo k hai niche aag hai fir Bhi chal raha hun
Karna hai safar, muqammal aage bad raha hun
Naukri se 4 paise main kama raha hun
Chote mote tohfey apni maa k liye laa Raha hun
Ghirta hun main yaar, himmat meri tootti nahi
Padna chahta tha main par padayi ho saki nahi
Mera haal dekh, maa ki aankhein ro saki nahi
Maut hai qareeb meri, Yaar mujhko hosh hi nahi

Chootti nahi mousiqi main ban gaya hun shayar
Allu arjun jaise pushpa wale karta fire
Sar qalam karaatey, sar nahi jhukaatey, qayar
Atropine aankh mein fir mujhko kuch dikha na
Mic on kr k, aakhein band, likhka gaana
Mere 4 dost, chaar mein se ik sudama
Ese nahi tu, waise nahi tu, ese kr k ye sunana