Veeraniyaan veeraniyaan bechain raatein meri
Ye asmaan, shams o kamar denge gawaahi meri
Be-jaan mera jism, meri rooh se awaaz
Mere naas mitey ghum, uski kaash mitey yaad
Chupke log kare baat, mere naam se anjaan
Mere naam mein hai yung, mera hip-hop jawaan
Mere dil mein panah lene lagey 100 zakham
2 kadam pe maut meri, main badta rahu aage
Chahe 100 janam bhi lene pade mujhe, do sitam
Meri manzil e hayaat, mene khudse hi laga li yu kahi aas
Mujhe doulat ki lagi jo bhook, naa kr de barbaad
Sar pe mehnat ka khumaar, krni kaamyaabi hasil
Toot ta sitara, ik din paa hi lega sahil
Sarkashi zamanaa yhi duniyawii nizaam
Meri qalam de duhayi, mera hoga kya anjaam haan
Veeraniyaan veeraniyaan bechain raatein meri
Ye asmaan, shams o kamar denge gawaahi meri
Main be-wajah main beqadar main hun rulaaya hua
Meri aakhein num, meri saanse tang main hun saataya hua
Dosto se ziyada saccha dushmano ka pyaar
Usne pyaar se bula k, cheena chain se qaraar
Usey chorke tha jaana, uske 5 kharidaar
Meri gardan pe laga k neza tez kari dhaar
Maine paish kari baat, main ab tez karu kaam
Meri beat kre bang, mere jeet k nishaan, yaani xan on the mic, Ab tum ball karo jaan Mene maara seedha chakka, main Irfan ka pathan
Main Fitrat se ghafil, main qismat se waqif
Main hikmat se jeetunga duniyaa ye saari, muhajir main hafiz
Main aakhir mein sabit, main haq hun tu batil
Tu bahar main, main dhakil, Main adna sa shayar
Gunaaho mein shaamil, main padta hun sunnat bhi padta main nafil
Main thehra bhi hun, main musafir bhi hun
Main hun khuda ka banda, khuda hi muhafiz
Veeraniyaan veeraniyaan bechain raatein meri
Ye asmaan, shams o kamar denge gawaahi meri
Main be-wajah main beqadar main hun rulaaya hua
Meri aakhein num, meri saanse tang main hun saataya hua