Aashiyana ban gaye ho, Khwaabo ka mere
Chittiyaan jo ban gaye hai, Hausla mere
Wajood hai mera, Sila yeh ishq ka tere
Junoon hai mera, Mila yeh ishq se tere
Parwaaz pe chal, Aa mita faaslein
Chal faash karde, Ishq ke aatishein
Qurbat hai mera, Yeh duaa jaaniye
Har pal hai yeh dil, Bekaraar jaaniye
Main Qaid Hoon, Tumhare Dil Mein
Main Qaid Hoon, Tumhare Dil Mein
Mohabbat hai yeh, Deewangi
Ab hai zindagi, Ruhani Si
Oo Dilkashi, Hayaa nahi tumse
Oo Dilkashi, Hayaa nahi tumse
Koi bhi jannat nahi, Tere siwa
Inn bechainiyon se, Karle rihaa
Yeh bekhudi betabiyaan, Tujhe kho na du oh saathiyaan
Har Vadiyon ka hai khumaar, Tumse hai Pyaar yeh beshumaar
Yeh dil Ki sirfire si aadatein, Tumse hai meri chahatein
Ab hai yeh meri mannatein, Teri rooh ki yeh rahatein
Jo zindagi ke jeene Ki wajah hai, Wo tere rooh ka mila sira hai
Soona soona lagta hai, Dil ka yeh jahaan
Kahin door pe, Tumhare sang ho jaun fanaa
Raahatein ban gaye, Tumhare har sire
Dil yeh maangta hai tumse, Thodi fursatein
Khaamosh raato ki tum, Hi sukoon ho
Teri raah pe chal pada dil, tode bandishein
Aagaz mein aa, Jhoome pyaar mein
Sooni hai raahein, Sooni khwaaishein
Bechain hai dil, Tere pyaar mein
Aa khole parde, Kya hai saajishein
Main Qaid Hoon, Tumhare Dil Mein
Main Qaid Hoon, Tumhare Dil Mein
Mohabbat hai yeh, Deewangi
Ab hai zindagi, Ruhani Si
Oo Dilkashi, Hayaa Nahi Tumse
Oo Dilkashi, Hayaa Nahi Tumse
Koi bhi jannat nahi, Tere siwa
Inn bechainiyon se, Karle rihaa