Andhkaar harr jagah chhaya
Sab kuch ho gaya kaam tamaam
Lockdown ke dinn badd gaye
Aalsi logo se kaam karwake
Inse jhaadu pocha bhi lagwaya
Iska na paalan karo to 10-20 dande khao
Domino’s ka pizza bhool jao
Ghar ki saadi bhindi khao
Nawabo ka jeevan jeete jeete
Ye sab to hamare baare me tha
Chalo ab bado ki dastan sunate hai
Unka dard rap karke sunate hai
Upar se aaya hai boss ka paigaam
Sudhar jao warna, tal jayega kaam
Naam Corona Virus, macha diya kohraam
Na paisa na kaam, chin gaya aaraam, YEAH
Aankhen agar khulti to failti na bimari
Khud maari hai tune apne, pair pe kulhadi
Banda chahta tha super power, samjha sabko anadi
Haan ki tune hoshiyaari aane waali teri baari
Ghar baithe baithe hui khaane ki maara maari
Duniya ne ki tujhe niptaane ki taayari, YEAH
Maal tarr gaya jaari, virus bheja bhaari
Bannd kar apni hoshiyaari, fir bhi sharam nahi aa rahi
Bahut bahut bahut bahut bahut hoshiyaari, YEAH
Bahut bahut bahut bahut bahut hoshiyaari
Virus vajah hai ki sabme maayusi chhaa gayi
Teri vajah se aaj, labour sadak pe aa gayi
Sukh-chaen ki zindagi, sab kuch ye hila gayi
Haan ki tune hoshiyaari, udasi chehre pe chhaa gayi
Desh ki giri arth-vyavastha
Mahenge hog aye cheezo ke daam
Poora desh aaj ghar me baitha
Rap ko karunga yahi khatam,
Saavdhani parakhne ki baari hai
Na ho jaaye corona se maatam