Achha nhi, toh phir aaj kya bana rhi ho
Kabhi toh banale ghar pe biriyani tu
Kaafi dino se soch soch ke pareshaan hoon ki
Kuch ho nhi rha aur sab saath chhod gye
Kaise kaatun mein yeh din
Kaise kaatun mein yeh raat
Lekin, jyaada din nhi chala
Bas raat mein saath kabhi
Haan maa daaru peene lag gya tera ladka
Joh kabhi ek class dudh nhi peeta tha
Woh aaj ek bottle gatak jaata hai
Haan mili thi mujhe ek ladki
Jiski chaand jaisi shakal
Kaein waadein the humare toh saat janmon ke
Woh toh 7 din mein saari baatein bhul gyi
Lekin Jyaada din nhi chala
Bas kaat leta hoon mein aise kaein din
Aur raat mein saath kabhi whiskey gin
Kya karoon ab mein ro nhi sakta
Gilen aasun leke mein so nhi sakta
Logon ne kahan beta mard hai na tu
Koi mard kabhi gilen aasun ro nhi sakta
Kaun bola yeh mard ro nhi sakta
Takiye pe aasun leke so nhi sakta
Maana mujh mein khoon mard ka hai
Lekin kya dil maa ka ho nhi sakta
Socha ab ki baar top karunga mein
Ghar se door aake rock karunga mein
Aur ho jaaunga inn saare taano se door
Aur puri duniya mein pop karunga mein
Lekin mummy aisa kuch nhi hua mere saath
Bas zee rha hoon mein kha ke daal bhaat
Nhi bhaag paaya inn saare taano se door
Aur nhi badhi abhi tak meri aukaat
Puch rhi thi na kaisa hoon mein