Vaise to nahi me dil jiska kamzor
Rishta kamzor jab dil jaye us aur
Dimag shor krta darta ye na khaaye chot
Nasha sa ye aur banna na hai mujhe nashakhor
Kal ki baatein karti khush ya khushi ka katal
Saral thi zindagi akal me kisike na chhal
Vifal tha pr safal thi neend alag sa tha kambal
Nakal na hota waqt aur zid hui na mukkamal
Kaash hava k jhoke le jaaye vaha hume
Haath p dawa pr shaam ko bole maa kaha chale
Raaste milte jispe vo dil me chhapi hai chhabi
Badnaseebi jo chhabi me vo ab ajnabee
Khelta waqt na rehat mutthi me ret sa
Khed hai sakht ab jhutthi duniya me me kaid sa
Baccha vo chahta firse pal saare samet na
Pr waqt ne diya usse itna hi to bhet tha
Vo Bacha bekasur jo andar mere hai basa
Meh aage badh raha Aur vo kahi khota jaaye
Vo yaade karti khush jinka ab naa mile nakhsa
Par sochu jab ye sab dil ye mera rota jaye
Beeta waqt yaad ata humko jab beeta waqt
Beeta waqt yaad ata humko jab
Meh likhta kahani jo sari sach
Par likhi kahani meri ho sakti sach
To Kyu likhta usme yaado k Siva kuch
Par yaado ka mol aksar logo ko lagta tuch
Tuch ankho k samne dikhti tasveere anginat
Jeena chahe vapas par kahan deta hai vakt ijazat
Beeta waqt lagta pyara ye kudrat ki hai banavat
Ungli thaam k chalte chaiye hume vo hifazat
Sau the dost haste mila karte khamakha mein
Sote dost waqt jaise ye rishte beparwah hai
Aur pehla pyaar bhi kaise bhul paye hum
Haar zakham ki hai dawa to Kyu naa yaado pe marham
Shaam dhali jab mujhko yaad aate vo sitare
Tute jo kabhi the par khawishe sach karna paaye
Sone ki ghadi yaad aaye jab sone ki ghadi paas aaye
Guzar gaye meh Aur waqt Bas reh gaye hai do parchaye
Vo Bacha bekasur jo andar mere hai basa
Meh aage badh raha Aur vo kahi khota jaaye
Jo yaade karti Khush unka ab naa mile nakhsa
Par sochu jab ye sab dil ye Mera rota jaye
Beeta waqt yaad ata humko jab beeta waqt
Beeta waqt yaad ata humko jab