Naam bana ke jaana dekho mujhe jaana maana
Kyuki samay dekha jab khane ko ghar pe daana tha na
Relative bhi koi dikha na
Yaad hai unka palti khana
Maa sang kiraye par thikana
Aukaat thi jab baap tha tab
Haal kaisa hai, are hum bheege hue the dhoop se
Hum toote chhate me noobs the
Chhat tab hota chhote bas dukh
Sab dete hai fuck duniya me
koi poochta tha humein na
Saath chahiye, hum hai na
Will hai ye dumdaar, toh ye aankh hoti nam hai na
Par saath maa ka love hai na
Aisi baate zyadatar main batata nahi
Dukh baantne se kam nahi hote, toh jatata nahi