Koi dard bhi na samjhe mera aesi jagah par hu
Chaha tujhe kaafi zyada mein hi thoda pagal hu
Zinda lash toh bana diya aur kar deti dafan
Kya pyaar mein chukani padti aesi rakam
Phir bhi tera hi khayal aata hai hardam
Jis wakt tha mein sath tere wakt gaya tham
Saanse chal rahi par ho chuke khatam
Jo tu samjhe majak woh hai gehre zakham
Yeh zakham na theek kar sakti dawai
Jab thi zarurat tu di na dikhai
Aesa kaunsa gunah jo kar raha bharpaai
Tujhe kab mil gyi mujh mein itni burai
Jaana tujhe aese jaana nahi tha
Tera mere jaisa koi diwana nahi tha
Tere siva koi apna mana nahi tha
Teri yaado ko mein bhul pa raha nahi tha
Jaana tujhe aese jaana nahi tha
Tera mere jaisa koi diwana nahi tha
Tere siva koi apna mana nahi tha
Teri yaado ko mein bhul pa raha nahi tha
Chhod dia hai tune mujshe karna baat
Ab har din hote ja rahe bure mere haalaat
Alag ho gaye hum bas rahe kuch pal sath
Maine kosish kari karu ek nayi shuruwat
Par mumkin nahi tha tujhe khone ke baad
Dheere dheere hone laga sab barbad
Agar galti thi meri toh thoda leti daat
Par tune toh chhod diya hi mera hath
Sab kuchh kho chuka tha main na bacha tha koi khauf
Har jagah se tune kar diya tha block
Tere jaane ke bad dard hua tha bahut
Aisi jindagi se behtar to mil jaati maut
Jaana tujhe aese jaana nahi tha
Tera mere jaisa koi diwana nahi tha
Tere siva koi apna mana nahi tha
Teri yaado ko mein bhul pa raha nahi tha
Jaana tujhe aese jaana nahi tha
Tera mere jaisa koi diwana nahi tha
Tere siva koi apna mana nahi tha
Teri yaado ko mein bhul pa raha nahi tha