Maine usne pehli baar jab dekhya tha,
Waqt wahi pe tham sa gaya tha...
Bheed mein bhi vo alag si laaggi,
Jaise bhagwan ne khud likha tha...
Aankhya ne uska naam likh liya,
Dil ne usne ghar maan liya...
Usne to dekhya bhi na manne
Maine usne apna maan liya...
Har din bas uska khayal rehta hai,
Har raat uska hi sawaal rehta hai...
Yo kaisa ehsaas ho gaya manne,
Jiska koe jawaab na rehta...
Vo meri thi bhi na, fer bhi meri si laagge thi...
Main keh na saka kabhi... par rooh usne chaahve thi...
Vo kise aur ki ho li... yo kismat ki kahani thi...
Main wahi ruk gaya... jahan uski nishani thi...
Main wahi ruk gaya... jahan uski nishani thi...
Chhoti chhoti baatan mein vo thi,
Meri har aadat mein vo thi...
Dil ki baat jubaan tak na aayi
Ar kahani adhoori reh gayi...
Kabhi paas jaane ki himmat na hui,
Kabhi usse kehne ki zarurat na hui...
Bas door te dekhte reh gaye hum,
Ar khamoshi hi mohabbat ban gayi...
Uski shaadi ke din usne dekhya tha,
Hansti hui... par main chup ho gaya tha
Sab kuch keh sakta tha uss din,
Par main fer bhi ruk gaya tha...
Log kehte hai, waqt sab theek kare,
Par yaadein aur gehri ho li... woh aage badh gayi zindagi mein,
Aur main wahi ka wahi reh gaya
Vo meri thi bhi na, fer bhi meri si laagge thi...
Main keh na saka kabhi... par rooh usne chaahve thi...
Woh kisi aur ki zindagi bani, main yaadon ka shehar bana...
Sab ne pyaar pa liya yahan, main bus pyaar mein hi reh gaya...
Na awaaz bani kabhi, na khanai ban paayi...
Ek khamosh si mohabbat, bas dil mein hi reh gayi.