Jaha kahi ho bhakt trast ho prachanda sankata
Padhare mere dev jo he satya shiva sundar
Viraje sabke man me jinko dekh kanpe danava
He sabse shaktishali jinka bhakt khud raavan
Prachand bal bhujao mein jatao me amrit jal
Sharan me inke hi mila he sari mushkilo ka hal
Dama dama damat gunje naad bramhand mein
Rago me mere daudata he om namah shivay he
Kaal ki taraha sada nirantar
Shiv shambhu mere bhole shankar
Asur ho ya manushya jaati
Kabhi na karte unme antar
Tantar mantar vyatha bhayankar
Koi bhi pida khadi ho tankar
Ramayan ya samudra mantahan
Kabhi wo aate pawansut bankar
Nilakanth bhi ban jate wo
Halahala ko prashan karkar
Trikal darshi Swayambhu shankar
Veerabhadra mahadev Rudra
Bhujangaraj viraje kanthi
Sune pukar bhakto ke manki
Vastra bagha khal ka tanpe
Bhasma ki jaise chaadar odhi
Nrityapriya dayalu shambho
Aas na shiv ne kisiki todi
Galat raha par chala koi jo
Uski raha bhi zhatse modi
Ahankar mein dooba gar tu
Gurrur tode shiv banke krodhi