LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Unheard Prayers

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Shaayad hu main nasamajh
Jo mujhe naa samajh mein kuch aaye

Karwatein bina badle kyun naa kate
Meri raatein

Kya tha kya bann chuka hu kya hai bacha iske aage

Dastakein hain unsuni meri
Hain unsuni muradein

Kaafi yahan pe haseen chehre tode dil jo
Sawaal hain kaafi mere tujhse mujhse aake mil toh
Bikhar chuke hain vaadey jhoothe tere aa ke gin toh
Samete jaane jo nahi hain woh btaaun kinko

Kehne ko kaafi par khaamoshi mera haath thaame
And to be honest I think for you ek mazaak tha main
Khair jo maangi tune meri sirf khwaab tha woh
Jhootha tha waqt humne kaata ek saath tha jo

Maan ke sach usse main jee gaya hu din ab kaafi
Gustaakhiyaan teri thi maangi thi jab ki maine maafi

Samajhte chehre hain hum jinko bas naqaab hain woh
Yeh jo sunn rahe ho tum mere jazbaat hain woh

Shaayad hu main nasamajh
Jo mujhe naa samajh mein kuch aaye

Karwatein bina badle kyun naa kate
Meri raatein

Kya tha kya bann chuka hu kya hai bacha iske aage

Dastakein hain unsuni meri
Hain unsuni muradein

Hain meri aankhein dhoondein
Tujhe tu aa ke mujhe
Mil main naam pukaaru
Tera tu aake mujhe
Mill bin tere meri baahein badi sooni sooni
Dhoondu main jahan wahan kyun dikhe mujhe tu nahi tu nahi
Soche tu jaisa mere baare main waisa hu nahi hu nahi
Sune tu sabhi ki kabhi meri sune kyun nahi kyun nahi
Baatein jhoothi moothi mujhse kahi thi kyun hi kyun hi
Kyun bola mujhe ki mere liye bas hai tu hi tu hi

Shaayad hu main nasamajh
Jo mujhe naa samajh mein kuch aaye

Karwatein bina badle kyun naa kate
Meri raatein

Kya tha kya bann chuka hu kya hai bacha iske aage

Dastakein hain unsuni meri
Hain unsuni muradein

WRITERS

Lakshya Arora, Shubham Diwakar

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other