Mere khwaabon ki manzil ke justju mein ghum main
Hai munsif na mere khayaal
Toh main khud sukoon paa lu kaise
Chaahe haasil karne ko main utsuk hu
Aur lafz meri pechaan hai
Hai kashmkash meri ghutan
Dard mein utru main jung mein toh zakhmi fir maidaan hai
Shikast naa hai dekhi hai dekhe sitam maine
Chaahe hue ho haavi mujhpe ghum mere
Afsurdagi mein na rakhe kadam maine
Maikhaane mein na bas kash maare dum ke hain
Ulfat alfaazon ki mujhko bachpan se hai
Ishq-e-tehreer mere mann mein hai
Sola umar thi meri jab tha samjha maine hoti mujhko bechaini hai
Satrah se idraak hai nazmon ki aur samjha nazrein hoti sabki paini hain
Athrah se samjha maine ki ibaadat, tanhaai aur shiddat kya hoti hai
Maana unnis mein maine ki ashk behte hai neeche, upar qismat hoti hai
Rab ki hifaazat mein rehta main
Poochhe woh kuchh bhi na kehta main
Dil mein dafan mere jo bhi udaasi hai kaagaz ke upar hu behta main
Kuch bhi na lagta ab kaafi hai
Maangta Rab se ab maafi main
Dekhu main sapne bade chaahe meri udaasi jahaan ki raza hi hai
Aankhon pe chhaale hain mere aur haathon pe rehti hai meri siyaahi
Haathon mein kuch bhi na mere inn haathon se likhta main apni tabaahi
Pinjre mein rakha jo dil maine hasratein saari woh de rahi duhaayi
Ab toh bachi thodi saanse ab marne pe lagta hai hogi rihaayi
Woh dete nafratein main deta pyaar
Woh baithe shohrat mein main jhelu waar
Raahon pe kaante bichhaye the saaron ne
Sab kuch laga diya, kaise du haar
Yaaron mein milta nahi dhoondo sitaaron mein
Sookha main patta na dhoondo bahaaron mein
Toota main tehni se gehre samandar mein
Le ke mashaalein na dhoondo kinaaron pe
Sola umar thi meri khud se tang aa ke likha tha pehla main gaana woh
Pandrah se haathon mein rizlay aur kamra mera jaise lagta maikhaana woah
Satrah mein khoya sukoon maine leke dawa dhoondu firse zamaana woh
Athrah se dil mein udaasi aur kuch bhi na kaafi bas seekha kamaana jo
Rab ki hifaazat mein rehta main
Poochhe woh, kuch bhi na kehta main
Dil mein dafan mere jo bhi udaasi hai
Kaagaz utha ke fir behta main
Kuch bhi na lagta ab kaafi hai
Maangta rab se ab maafi main
Dekhu na sapne bade main toh
Meri udaasi toh uski raza hi hai