Aankhein khuli bhi nahi thi subah theek se
Ajeeb sa ehsaas hua tha jab neend se
Papa ne mujhe jagaaya, rakha haath meri peeth pe
Aur bole bete utho mumma na ab apne beech mein
Yakeen hua na suni baat pe mujhe
Main gaya dekhne kya unki kahi baat sach hai
Aisa jhooth koi bolega kyun? Par fir bhi
Main baaju pe chimti kaati mumma ki kya woh hilti
Sthir thi ek dum and it just killed me
Jab woh gayi mujhe laga it should have been me
Bhari dhoop mein thi di chita ko aag
Aur ek aansu naa bahaya, mere pita hai gawah
Main peechhe ho gaya samay se
Main achha beta kabhi paaya na bann
kabhi aapne bulaaya tha jab
Tha main jab dilli mein tha phone aa jata beech mein
Aur poochhte bas yahi ki kya beta mera theek hai
Ki bheekh mein hi sahi par koi sune ki kya cheez se
Darr se ki main bikhra toh papa ko sambhaalne hoega koi aur nahi
Aur aage iss se zyaada main seh paaunga aur nahi
Kya kuch main hu karna chahta
Kar jo toh fir kar main jaata ghar main aata fir na
Karunga kuch bhi jo kare na pasand wo aur main maanunga baatein saari