Ya jo bhi problem aage aegi
Jisne jaana tha voh chala gya
Iss moment mein abhi tu hai
Bahar nikal kar dekh ek baar
Khuli hawa jab chehre se takraati hai
Voh sunset ki laal roshni
Tere chehre ko chumti hai
Voh chamakta hai tere liye
Tujhe bass ek moment lena hai
Zindagi sach mein bohot chhoti hai
Iss duniya ko agar itni ehmiyat denge
Toh khud ke liye jee nahi paenge
Aur voh sabse badi galti hogi
Jo tujhse pyaar karte hai
Aur jo kuch tu dhundh rha hai
Aur use fir rokne ki zaroorat nahi padegi
Voh khud rukega tere paas
Fir dekh sab kaise sahi hota hai