Insaan kisi se is duniya mein
Ek baar mohabbat karta hai
Is dard ko lekar jeeta hai
Is dard ko lekar marta hai
Jab pyaar kiya to darna kya
Pyaar kiya koi chori nahin ki
Pyaar kiya koi chori nahin ki
Chhup-chhup aahein bharna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Aaj kahenge dil ka fasana
Jaan bhi le le chahe zamaana
Aaj kahenge dil ka fasana
Jaan bhi le le chahe zamaana
Maut wohi jo duniya dekhe
Maut wohi jo duniya dekhe
Ghutt-ghutt kar yun marna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Unki tamanna dil mein rahegi
Shamma isi mehfil mein rahegi
Unki tamanna dil mein rahegi
Shamma isi mehfil mein rahegi
Ishq mein jeena ishq mein marna
Ishq mein jeena ishq mein marna
Jab pyaar kiya to darna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Chhup na sakega ishq hamaara
Chaaro taraf hai unka nazaara
Chhup na sakega ishq hamaara
Chaaro taraf hai unka nazaara
Parda nahin jab koi Khuda se
Parda nahin jab koi Khuda se
Bandon se parda karna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Pyaar kiya koi chori nahin ki
Chhup-chhup aahein bharna kya
Jab pyaar kiya to darna kya
Jab pyaar kiya to darna kya