Jaane kahaan ko jaane lage
Leke chali thi hawaayein jahaan
Jo guzaari thi sawaalon mein,
woh raatein subaha nigal gayi
Jawaabon ki zaroorat thi,
safar mein zaroorat badal gayi
Akela chala jo musafir tha
Har ek kahaani mein shaamil tha
Akela chala ek musafir tha
Yeh raaste mere begaane hi sahi
Hai manzilo ki bhi nishaaniyaan nahi
Yeh daastaan meri kahaaniyaan nahi,
Jo likhi raat bhar, taaron ki chhaon mein
Kabhi kisi mod pe, kabhi kisi chowk pe
Har roz likh raha, hu naye silsile
Kabhi kisi shaqs ki, yaadon mein
Guzaari thi sawaalon mein,
woh raatein subaha nigal gayi
Jawaabon ki zaroorat thi,
safar mein zaroorat badal gayi
Akela chala jo musafir tha
Nayi ek kahaani mein shaamil tha
Akela chala ek musafir tha