Tera beta nashe karraha hai
Duniya bari zaalim lekin beta tera chalraha hai
Kharche poore karraha hai
Bikhra bohat baar lekin khudse wo samhalraha hai
Baap se Kiya waada wo tou aj bhi poora karraha hai
Dil pe tou zakham bara hai
Thora wo bhi sarphira hai
Kalakaari bakamaal tabhi log akay usse photo len
Dil Mai kaafi ghum ab na hansi hai hoton pe
He's at war with himself aur wo haarraha hai
Lagataar kitni raatein wo ab jaagraha hai
Uspe kaafi zimmedari aur wo jaanta hai
Par usse Hoti hai bechaini Yahan se bhaagraha hai
Dekh maa, Tere bete ka Kiya haal hai
Aur wo duniya se bezaar hai
Apne aap Mai giraftaar hai
Ya tou saare khaate khaar hai
Tera beta nashe karraha hai
Ye duniya bari zaalim par wo Teri khaatir larraha hai
Aur ab nashe usse choote na
Likhta rehta wo uska Kalam ab tou toote na
Likhta wo hai gaane takke chaahne wale roothe na
Par wo ab rehta hai akela,
Wo mar bhi gaya tou aakhir kon usse poochega?
Uske zinda rehne ki waja na hai koi
Aur Dede usko mout aisi saza na hai koi
Karre wo manzar kashi hai
Dard bharri tou ye garhi hai
Par duniya ye ghum saare chorke
Wo rehta zinda Tere baare sochke
Gawah wo hai apna wo rehta na ab hosh mai
Wo tou shuru se jihaadi ab kiya hum usko dosh de