Khatam saare raabte na Teri koi Khabar hai
Bikhar Chuka Mai, ab na Meri tou koi jarr hai
Neend mujhpe hai haraam, Mera bister tou kaffan hai
Dil margaya, ehsas sab daffan hai
Khayalon ka hai boj, mere seene pe wazan hai
Akke pooch Zara haal Apne yaar ka, Kiya Tujhe zara bhi qadar hai?
Baazu Kai lahu se Maine likhi ye nazam hai
Dard Mila mujhe bohat ye bhi Khuda ka Karam hai
Dil hee na bacha, kis baat ka ab dar hai
Zinda bachi laash aik, murdakhana hee tou Ghar hai
Aur ab dost pooche haal Mera
Mai theek Hoon par haal Mai na
Mujse mila jo kuch baatlena
Bas mujhe zinda na dafnaadena
Dil ki inn gulliyon Mai ghoomoun mai awaara
Koi Mila na jawab tera Naam jab pukaara
Matlabi ye duniya bas tu hee tha Sahara
Ab betha Mai Akela hota ghumon Mai izafa
Aur kisse sunayenge wo log
Aik larka tha, bara ashiq mizaaj
Ussi ashiq kai naam ka aj bana hai mazaar
Kahani uski sunte hain log sarhad paar
Ghumon kai unn tukron se saji ye bazaar
Dekhoun Mai jab aina tou dikhe Mera dushman
Ati khudpe sharam kisi haal Mai na khush hum
Hosh Mai na Rahe 24 ghante rehte bhut hum
Chalti Hain ye raggay lekin banchuke hai butt hum
Par na mille mujhe lafz Hain