Khatoone jina taahira ya fatima zahra
Khatoone jina taahira ya fatima zahra
Aabide bimaar ke sadqe me de dije shifa
Ya janabe fatima ya janabe fatima
Door hon jaayn maraz ikseer ban jaay dua
Ya janabe fatima ya janabe fatima
Aapke dar se kabhi khali nahi palta koi jaante hain ye sabhi
Hai sakhavat aapki saare zamane se juda
Kijiye bimaar par apna karam binte nabi zindagi deeje nai
Aapke qadmo me hai dunia ke hae gham ki dawa
Mushkile ghere huy hain raasta dushwar hai saamne majhdhar hai
Aap ki chashme inayat ho to tal jaay bala
Aap jis bimaar ko chahen use dede shifa roohe jaane mustafa
Aap hain mojiz numa ye baat hai humko pata
Is jahaan me jin marizo ke maraz hai la ilaaj hai guzarish bas ye aaj
Is dua ka un marizo ko bhi pahunche faayda
Kamsini me ho to hai daaghe yatimee ik saza hai hamari ilteja
Bacchon ke sar par rahe maa baap ka saya sada
Hukm ho jo aapka shane gulistane nabi baat ban jaay abhi
Aap jo kahti hain uski laaj rakhta hai khuda
Is musibat ki ghadi me bhi rahen sabit qadam thokre khay na hum
Aap hum ko waqt se ladne ka deeje hoslaa
Hai dua mazhar raza beemar ko sehat mile umr bhar raahat mile
Aap ko khune hussain ibne ali ka waasta