Ya ali yali bole jibreele ameen
Ya ali ya ali khoon se tar hai zameen
Badla badla hai jahan mustafa jab se uthe
Hota hai amn dhuwan mustafa jab se uthe
Hai nifaq aur ayaan mustafa jab se uthe
Jala zahra ka makan mustafa jab se uthe
Pasliyan tuti thi kal aaj hai sar par hamla
Arsh se shor utha murtaza qatl huye
Thi farishton me buka murtaza qatl huye
Roye arkane huda murtaza qatl huye
Rona jibreel ka tha murtaza qatl huye
Tegh ka war hua khun misalle pa baha
Baap par giriya kuna hain hussain aur hasan
Sog me gham ka nishan hain hussain aur hasan
Liye andohe garan hain hussain aur hasan
Majlise aaho fughan hain hussain aur hasan
Dhoop hi dhoop hai sar par nahi koi saya
Uthte hain kha ke ali kamyabi ki qasam
Masjide koofa ko hai unki rukhsat ka alam
Roke mimbar ne kaha na bhula payenge gham
Ya ali kaise bhala aapko payenge hum
Yaad rakhenge salooni ki sadaon ko sada
Apne pairo se ali chal ke ghar jaa na sake
Haaye mimbar pa bhi kuch waaz farma na sake
Ghar se masjid ki taraf laut kar jaa na sake
Baar uthate the jo wo pusht par la na sake
Dekhte hi rahe miskeen ali ka rasta
Dekh ke baap ka sar betiyan roti rahin
Dil pa tha ghara asar betiyan roti rahin
Maan ke baad utha padar betiyan roti rahin
Dekha ujda hua ghar betiyan roti rahin
Bhai jano ki bhi jano ke liye hai khatra
Sog me roi zamin uth ke taboot chala
Tadpe sab ghar ke makin uth ke taboot chala
Kaanp utha arshe barin uth ke taboot chala
Kul fazayen thin hazin uth ke taboot chala
Sog kufe me nahi kono makn par chaya
Aik ne noha likha aik ne noha padha
Apne mola ke liye roye fidvi o raza
Denge mursal bhi jaza aur zahra bhi jaza
Chahne walen sune aur bahe ashke aza
Noha maqbul karen khud bhi hamara mola