Imame hasan ki wiladat ka din hai
Ye bando pa rab ki inayat ka din hai
Hasan ghar me zahra ke tashrif laaye
Ali khush huye mustafa muskuraye
Sabhi ke liye ye msarrat ka din hai
Charaghan karo aur gharo ko sajao
Ali walo farshe masarrat bichao
Ye midhat ka jashne imamat ka din hai
Basad shauq haq ke wali aa rahen hain
Dare mustafa par nabi aa rahe hain
Rukhe mujtaba ki ziarat ka din hai
Khila phool dunia me nasle nabi ka
Hua shad chehra khushi se ali ka
Safe ambiya me ye raahat ka din hai
Hai arshe bari par hamara muqaddar
Hasan ki sana hai humari zaban par
Humare liye ye saadat ka din hai
Qalam jiska teghe ali ki tarha hai
Amal jiska bilkul nabi ki tarha haiu
Usi noor paikar ki ulfat ka din hai
Zamane me mahdi raza aur mazahar
Hain har bahare hai pur kaif manzar
Hasan ki wiladat hai raahat ka din hai