Kuch musalman fatima ka ghar jalane aa gay
Mustafa ke jaate hi ye zulm dhane aa gaye
Jiski thi taazeem lazim aur wajib ahteram
Jis pa karna chahiye tha aake in sab ko salam
Us dare daulat pa lekar taziyane aa gaye
Lakdiyan aur aag lekar ye saqeefa se chale
The nabi ke jitne ahsaan chand din me bhul ke
Dene zahra ko azeeyat dil dukhane aa gaye
In sitamgaro ke ye zulmo sitam to dekhiye
Mustafa uthte the jiske khair maqdam ke liye
Dar usi bibi ke pahlu par girane aa gaye
Jalta darwaza giraya fatima par aye khuda
Pasliyan tooti hua pahlu shikasta be khata
Ahle shar khune mhammad ko bahane aa gaye
Ho raha tha jo abhi roshan ali ke noor se
Naame mohsin se zamana yaad rakhega jise
Wo charaghe fatima zalim bujhane aa gaye
Fatima par zulm dhaye hain inhone be hisab
Aaj tak odhe huye the jo shariyat ki naqab
Asl jo chahre the inke wo dikhane aa gaye
Momoino trarikh me pahle ye dahshat gard hain
Qatlane fatima zahra yahi jo fard hain
Saamne in sabke chare aye zamane aa gaye
Mahdi mazhar aur raza sara zamana dekh le
Kah gaye the mustafa jinki itaaat ke liye
Ye nishana zulm ka unko banane aa gaye