Ya Zehra Ya Zehra Ya Zehra
Azkhana E Du Shood Wawaila Aagahaz E Karbobala
Tera Ghar Jalne Say Hua Aagaz E Karbobala
Tujhko Rulaya Gaya Haye Haye
Behad Sataya Gaya Haye Haye
Aapke Baba Ke Sathi They Subhi
Aapki Jaan Hai Jinlogo'n Me Li
Pusliyan Todi Gayi Haye Haye
Ungliyan Todi Gayi Haye Haye
Kunduz Bedard Me Wo Waar Kia
Aapka Hath Bhi Ek Toot Gaya
Ki Laino Ne Jafa Haye Haye
Kya Thi Mohsin Ki Khata Haye Haye
Roza Shiddat Say Payambar Ka Hila
Katl Jub Aapke Bacche Ka Hua
Gardane Shere Khuda Haye Haye
Kya Thi Mohsin Ki Khata Haye Haye
Sochkar Rotey Hai Ye Ahle Aza
Aapne Kaise Vo Manzar Dekha
Aappe Ya Sayyada Haye Haye
Is Qadar Zulm Hua Haye Haye
Umr Atthara Baras He Thi Magar
Ek Zaifa Ki Tarha Kham Thi Kamar
Aapke Dono Pisar Haye Haye
Rotey They Pit Ke Sir Haye Haye
Shab Ki Taraqi May Ey Binte Nabi
Dafn Jub Aapko Karte They Ali
Rotey Hai Ehle Aza Haye Haye
Karrahe Hai Ye Dua Haye Haye
Puri Ye Khawab Ki Tabeer Ho Ab
Apke Roze Ki Tameer Ho Ab
Karke Ye Bain Raqam Haye Haye
Kampa Waiz Ka Qalam Haye Haye
Her Taraf Chhane Lagi Ghum Ki Ghata
Noha His Waqt Ye Akbar Ne Padha