LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Mere Hussain Mujhe Itni Zindagi Dede

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Mere Husain Mujhe Itni Zindagi De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Hon Zulmaton Say Pareshan Roshni De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Dua’e Fatema Zahra (S.A.) Hu’n Ye Bhi Yaad Rahe
Bicha Ke Farshe Aza Dil Hamesha Shad Rahe
Ghamon Ki Shakl Me Sabse Badi Khushi De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Naseeb Bigda Hua Hai Use Bana Maula
Ho Kayenat Me Phir Se Misaale Hur Zinda
Dayare Noor Me Kuch Waqt Naukri De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Mai Dil Ka Haal Zabani Sunana Chahta Hu
Zareeh Thaam Ke Sab Kuch Batana Chahta Hu
Is Arbaeen Pa Tu Izne Haaziri De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Mila Husain Ka Khat To Habeeb Kehne Lage
Sharaf Hai Yusufe Zahra (S.A.) Bula Rahe Hen Mujhe
Shabab Fir Se Mujhe Shai Ki Dosti De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Safar Bahisht Ka Ho Jaye Jald Ab Tayyar
Bana De Ae Mere Khaliq Husain Ka Zawwar
Jo Khatm Ho Na Badan Ko Wo Tazgi De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Mai Dekhu’n Kaise Uthaya Tha Lasha’e Akbar
Lahu Sagher Ka Kaise Mala Tha Chehre Par
Tasawwuraat Ki Aankho’n Ko Raushni De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Dua Ye Karti Thi Sughra Watan Me Ro Rokar
Naseeb Dekhna Ho Mujhko Chehraye Akbar
Mareeze Hijr Hu’n Kuch Der Ko Khushi De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Adab Ki Bheek De Shahe Adeeb Ka Roza
Mareeze Ishq Hu’n Dekhu’n Tabeeb Ka Roza
Phir Uske Baad Khuda Chahe Maut Hi De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Jabeene Naaz Ko Akbar Me Dar Pa Rakkhunga
Utha Ke Khak Ko Abbas Sar Pa Rakkhunga
Charag Hon Mujhe Suraj Ki Roshni De De
Kisi Bhi Haal Me Bas Karbala Pohuch Jaau

Abass Sirsvi

WRITERS

Raza Shah, Abbas Sirsvi, Ali Akbar Ameen

PUBLISHERS

Lyrics © Audiam, Inc.

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other