Al Madad Ya Imam E Zama’n
Kar Rahe Hain Dua Sab Ye Peero Jawaan
Jald Aa Jaiye Malike Do Jahaan
Waqt Nazuk Hai Aur Gham Ke Haalaat Hain
Paas Khushiyan Nahi Sirf Sadmaat Hain
Warise Fatema De Do Hamko Amaan
Ab Ke Koi Ziyarat Nahi Kar Sake
Had Hai Jashne Masarrat Nahi Kar Sake
De Na Paaye Kahin Par Bhi Khulkar Azaan
Gaau Sunsaan Hain Shehr Veeraan Hain
Sab Karona Se Behad Pareshan Hain
Tum Jo Aaoge Isse Milegi Amaan
Saare Khadim Gharo’n Se Nikal Aayenge
Fatema Ki Qasam Sar Ke Bal Aayenge
Ye Bata Dijiye Bas Miloge Kahaan
Unko Aulad Do Jin Par Bacche Nahi
Betiyaa’n Ghar Mein Baithi Hain Rishte Nahi
Kar Do Unki Madad Warise Do Jahaan
Door Khushiyaan Hain Aur Malo Zar Bhi Nahi
Kuch To Aise Hain Rehne Ko Ghar Bhi Nahi
Sar Par Saaya Nahi De Do Unko Makaan
Maaon Behno Ke Sar Par Ridayen Rahein
Sab Buzurgon Ki Ham Par Duwaayein Rahein
Aur Paa Jaayein Rozi Sabhi Naujawaan
Sabko Batla Diya Jiski Imdaad Ki
Ho Rahi Hai Ghareebo Ki Beizzati
Kar Rahe Hain Dikhawa Kuch Ahle Jahaan
Zindagi Ke Liye Thodi Rahat Karo
Aake Duniya Par Maula Hukumat Karo
Thak Ke Baithe Hain Sab Zaahiri Hukmraan
Hai Ye Abbasso Akbar Ki Har Pal Dua
Wo Ghadi Jald Aajaye Behtare Khuda
Jashn Dono Padhen Aapke Darmiyaan