Din ki na khabar zindagi wairaan
Aur shehar e dil ko lagi teri hi talab
Aur aankhon sy lagy ye dunia haseen
Jab karu main sab ka ehsaas
Aur chora jab sab ko to pta chala ky ye sab sirf matlab sy sath
Aur safar adhoory hi katty ga
Jab mehfil sy teri hum uth ky chaly to bta wahan kon hi phr ruky ga
Shaamain bta deti kon kitna saga
Aur dharkanon main kya tu bassy ga
Aur samjhny wala samjh gya
Udasi main to har pal hi ab kat raha
Dil ye sharafat ki seerhi sy hat raha
Gandi zubaan lehja bazari aur betha begano main ban ky kyun qari
Wehshat e wehshat hay sar pe bs taari
Aur kabar dikhai dy seat sy bahir (ahsan late)
Apny gireban main nai koi jhaankta
Insano main dhoondy hum farishta
Lekin main ban ky aya hun faakhta
College tak larky achy thy
Par logon ki nazrain hum gandy bany thy
Hum dunia ki rasmo sy hat ky khary thy
Aur chahny waly gaany rat ky khary thy
Tuny jhaank ky dekha jo dil tha mukhalif
To rooth gai mujh sy kyun
Ab koi nai jo kahy rap na kar
Meri jaan tu dil ko youn qaid na kar
Aankhain laal ye en dabbo ko gair na kar
Khud main jhaank tu dunia ky ayb na parh
Sharam to baton sy hat-ti gai
Qabar ki matti bhi ghat-ti gai
Chehry pe ronaq jab ajay to samjho
Ky maut sarhany ko takti rahi
Main betha aaj phr sy hun sochon main teri
Ye noton ki dheri sukoon nai deri
Ye mehfil ye rasm o riwayat ye dunia ky
Chehron pe jammi bss dhool hi dy rii
En aankhon main baby bs nasha ay
Teri udaasi pe dil jaana saja ayy
Tu meri udaasi ki waja ay
Bana tu meri azadi ka madha ay
Ab koi nahi yahan jo kahy na kr Rap shap
Ab koi nahi yahan jo kahy na kr Rap shap
Ab koi nahi yahan jo kahy na kr Rap shap
Ab koi nahi yahan jo kahy na kr Rap shap