Zamane ki dhunn me Begaane sab
Kuoon ko ye dariya samajh baithe
Samjhte hai gahra khud ko jabki
Samandar ki gahrai na jaane ye
Hai bahte bahkaawe me sab
Jabki Dariya ko milna samandar me
Samandar ka sirf ek katra tu
Aur kahta samandar ye mera hai
Samandar jo bhar jaata dariya se
Toh dariya hi dariya nahi hoti
Lahrien dekhi hai kya kabhi tune
Kuoon me lehrien nahi hoti
Ye Lahron se ladne chale hai
Jabki lahron se saare ye darte hai
Hai boondon ka tujhko sahara
Jabki boond samandar se bante hai
Samajh meri baaton ko kya mai samjhata
Tazurba nahi magar fir bhi batata
Par na jaane asli Hip hop kaha??
Wo pyasa Musafir mujhe na dikha
Mai dhundu tujhe tu dikhta nahi
Na jaane wafa kyun milta nahi
Wafadar galliyaan na jaane kaha
Hip hop nashe se ye banta nahi
Kalam ki siyahi na hogi khatam
Zamana ye daldal me dhasta chala
Hip hop se taaruf na koi yaha
Hip hop se taaruf na tu lag raha
Bematlab k gaane jo sunta chala
Jo matlab samjha k mai gaane banau
Hip hop kya jahaan ko batau
Hip hop se aao tumhe bhi milao
Aa mila du hip hop se tujhe
Aa na mila Du hip hop se tujhe
Aa mila Du hip hop se tujhe